Sunday, July 17, 2016

DYARCHY AT THE PROVINCES- GOI ACT 1919

1917 ke August Declaration (responsible governent in India) ke baad british sarakar ne ye tay kiya hindustaniyon ko kuch adhikar diye jayenge jiske tahat wo apne faisle kuch had tak le payenge aur jiske liye unhen centre chhedkhani nahin kar sakega. San 1919 ke GOI ACt 1919 ke tahat ye faisla hua ki kanoon banane ki vyavastha do tahat yani central aur provinicial subjects me baat di jayegi.

Jo kanoon provinces me banne hain unme british sarkar ne do hisso me batwara kiya jise DYARCHY ke naam se jana jata hai.

Provinces me un subjects pe bane kanoon ko jispe hindustani provinical legislative assembly ke ministers ko (governor ke zariye) parit karne ka adhikar mila unhen Transfered subjects kaha gaya aur jin subjects par banne wale kanoon ko british sarkar ne apne liye rakha (jo governor aur uski executive council parit kar sakti thi) use Reserved subject kaha gaya.

Ab aap bata sakte hain:
1. Dyarchy kya thi.
2. Transfered Subject kise kahte hain.
3. Reserved Subject kise kahte hain.
4. Dyarchy kyun lagu ki gayi.
5. Dyarchy ka 1917 ke august declaration se kya nata hai.
6. Responsible government ki shuruat kis san me hui aur kis Act ke tahat hui.